Lyrics Likh diya apne dar peh.. NFAK <3

*Sippu*

*FrOzEn TeARs*
sheeraza-e-hayaat pareshan ho gya...
ye marhala bhi kher se asaan ho gya....

mere sakoon-e-dil ko to hona hi tha tabah,....
unki b ik nigah ka nuqsan ho gya......

Ishq Se Humko Ashiana Karke
Jhuk Gaya Koi Saamna Karke

Aye Woh Intezaar Ki Ghadiyan
Waqt Kata Khuda Khuda Karke

Ahle Duniya Ke Haath Kya Aya
Do Dilon Ko Juda Juda Karke

Dono Alam Ko Pa Liya Mein Nein
Zindagi Ishq Mein Fana Karke

Tu Nein Anjaam Khud Hi Daikh Liya
Bewafa Se Qamar Wafa Karke

Husn wale wafa nahi karte
Ishq wale daga nahi karte

Zulm karna to in ke aadta hai
Yeh kisi ka bhala nahi karte

Likh Diya Apne Dar Pe Kisi Ne, Is Jagah Pyar Karna Mana Hai
Pyar Agar Ho Bhi Jaye Kisi Ko, Iska Izhar Karna Mana Hai
One inscribed outside his entrance, here love is forbidden,
If, one does fall in love, then declaration of such here is forbidden.

Unki Mahfil Mein Jab Koi Jaaye, Pehle Nazrein Woh Apni Jhukaye
Wo Sanam Jo Khuda Ban Gaye Hein, Unka Deedaar Karna Manaa Hai
Whilst one joins their assembly, first he must lower his gaze
Lovers that have reached divine majesty, here sights of them are forbidden.

Jaag Uthein Gay To Aahein Bharein Gay, Husn Walon Ko Ruswaa Karein Gay
So Gaye Hain Jo Furqat Ke Maare, Unko Bedaar Karna Manaa Hai
If they become awake, they will show dismay at those with immense beauty,
Those who have gone asleep in separation, awakening them here is forbidden.

Hum Nai Ki Arz Ay Banda Parwar, Kiyon Sitam Dhal Rahay Ho Yeh mujh Per
Baat Sun Kar Hamari Woh Bole, Hum Say Taqraar Karna Mana Hai
We questioned for the sake of humanity, why such betrayal towards us,
Listening to such words, they answered ''confronting with us is also forbidden''.

Saamnay Jo Khula Hai Jharoka, Kha Na Jana Qateel Kahin Unka Dhoka
Ub Bhi Apnay Liyeh Us Gali Mein, Shouq-e-Deedaar Karna Mana Hai
In front of you is an overhanging balcony, Qateel* fall not again for a deception,
For us even now sights of such interests in that street are forbidden.
***********************************************
:hape
 
Top