Lyrics Khuda Hai Tere Andar Lyrics – Arijit Singh | Ghayal Once Again

Miss Alone

Prime VIP
Bas ek chingari.. se aag lagti hai
Wo chingari toh soyi hai tere hi seene mein
Zamana jaisa hai usey waisa hi rehne de
Batao na mazaa hi kya hai aise jeene mein
Bas ek chingari.. se aag lagti hai
Wo chingari toh soyi hai tere hi seene mein
Karta hai kyun shikayatein
Pehle sudhaar aadatein
Ik ik boond se hi banta hai samandar
Khud pehla kadam uthaa
Khud apni kasam tu khaa
Tujhko pata nahi Khuda hai tere andar
Nakamiyon ke bahaane hazaron hai
Kiska kusoor kahein
Par zimmedari humaari bhi banti hai
Itna zaroor kahein
Jo ho raha hai aankhon ke aage hai
Nazrein kyun pher lein hum
Apne iraadon se manzar badalne ka
Sar pe suroor rahe
Mere yaara mere yaara sun le
Dil ki pukaar zaraa
Sacchaiyan saari nazdeek hain tere
Jo dhoonde tu milengi wo tujhe aaine mein
Zamana jaisa hai usey waisa hi rehne de
Batao na mazaa hi kya hai aise jeene mein
Karta hai kyun shiqayatein
Pehle sudhaar aadatein
Ik ik boond se hi banta hai samandar
Khud pehla kadam uthaa
Khud apni kasam tu khaa
Tujhko pata nahi Khuda hai tere andar
Tujhko pata nahi Khuda hai tere andar
Tujhko pata nahi Khuda hai tere andar
 
Top