Lyrics inn lmbho ke daman mein.....

inn lamho ke daaman mein, pakija se riste hain
koyi kalma mohabbat ka dohrate farishtein hain
khaamosh si hai jamin, hairan sa phalak hai
ek noor hi noor sa abb aasmaan talak hai
nagme hi nagme hai jaagati soti fijao mein
husn hai sari adao mein, ishq hai jaise hawao mein

tanana dom ta dom tanana dom ta dom..........
doom doom tana nana doom doom tana... doom doom..... tananana :dan

dom tom tana nana dom tom tana
kaisa yeh ishq hai, kaisa yeh khwab hai
kaise jasbat ka umda sailaab hai
din badale raate badali, bate badali
jine ke andaaz hi badale hain
inn lamho ke daaman mein, pakija se riste hain
koyi kalma mohabbat ka dohrate farishtein hain

samay ne yeh kya kiya, badal di hai kaaya
tumhe maine pa liya, mujhe tumne paaya
mile dekho aise hai hum, ke do sur ho jaise madhdham
koyi saadhana koyi kam kisi raag mein

ke prem aag mein, jalte dono hi the
tan bhi hai mann bhi, mann bhi hai tan bhi
hmmm hmmm hmmm.........
mere khwaabo ke iss gulistaan mein, tumse hi tum bahaar chhayi hai

phulo mein rang mere the lekin, iname khusbu tumhi se aaye hain

kyun hai yeh aarjoo, kyun hai yeh justju
kyun dil bechain hai, kyun dil betaab hai
din badale raate badali, bate badali
jine ke andaaz hi badale hain

inn lamho ke daaman mein, pakija se riste hain
koyi kalma mohabbat ka dohrate farishtein hain
khaamosh si hai jamin, hairan sa phalak hai

ek noor hi noor sa abb aasmaan talak hai
nagme hi nagme hai jaagati soti fijao mein
husn hai sari adao mein, ishq hai jaise hawao mein
ishq hai jaise hawao mein
 
Top