Lyrics Ghulam Ali - Chamakte Chaand Ko

<~Man_Maan~>

DEATHBEAST
Snger - Ghulam Ali

Song - Chamakte Chaand Ko


(chamakte chand ko
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala X2
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte)-2

huuun huuuum aaaa aaa-2
bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain X2
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamakte chand...

main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun X2
na mujhse ban saka chhota saghar,din raat rota hun
khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala
chamakte chand...

mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai X2
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand...

yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha X2
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamakte chand...


 
Top