Lyrics Eek pyar ka Nagma hai--shor

*Sippu*

*FrOzEn TeARs*
(Song from Hindi film ‘Shor’ ….. Singer – Mukesh, Lata Mangeshkar ….. Musice Director – Laxikant Pyarelal



ek pyar ka nagma hai

maujon ki rawani hai

zindagi aur kuch bhi naheen

teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai

kuchh pakar khona hai

kuch khokar pana hai

jeevan ka matlab to

aana aur jana hai

do pal ke jeevan se

ek umr churani hai

zindagi aur kuch bhi naheen

teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai

tu dhar hai nadiya ki

main tera kinara hoon

tu mera sahara ha

main tera sahara hoon

ankhon men samundar hai

ashaaon ka pani hai

zindagi aur kuch bhi naheen

teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai

toofan to aana ha

aakar chale jana hai

badal hai yeh kuch pal ka

chhakar dhal jana hai

parchhaniyan rah jati

rah jati nishani hai

zindagi aur kuch bhi naheen

teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai
 
Top